Use APKPure App
Get Nad e Ali old version APK for Android
Nad e Ali (R.A) kia ha aur iss k ammal se mushkilat ka hal
Nad e Ali (R.A)
Nad e Ali (R.A) kia ha aur iss k ammal se mushkilat ka hal.
“Nad e Ali (R.A) Application” aik Dua ha Jo Hazrat Ali k chahne waloo, unn ki pairvi karne waloo aur tamam muslims k pass honi chahiye. Apni rahnumai aur mushkilat k hal k liye is ki tilawat karein.
“Nad e Ali (R.A) ki buhat fazilat ha. Kaha jata ha k agar aap ko dushman ne gher liya ha tou aik pathar pe Nad e Ali ki tilawat kar kay dushman ki taraf phenk dein. Wo kisi surat aap ko nuqsaan nahi pohancha sake ga. Yeh App puri dunya k muslims k liye banai gai ha.
Hadees e mubarika say waziha hota hai kay “Jang e Ohad” main kuffaar nay Sarqaar e Do Alam Muhammad S.A.W kay Dandaan Mubarik ko shaheed kar diya aur Hazrat Hamza Bin Hazrat Abdul Mutlib R.A Shahadat kay maqam per faaiz ho gaye. Aur boht say Muslims ko qatal kiya gaya. Aur uss roz Ameer ul Momineen Hazrat Ali R.A Sarqaar e Do Alam Muhammad S.A.W kay hamrah nahin thay. Uss waqt Allah Paak nay Hazrat Jibraeel A.S kay zariye Aaqa e Do Alam S.A.W ki khidmat main kehla bheja kay in Kalmaat Shareef (Naad e Ali R.A) kay zariye apnay bhai Hazrat Ali R.A ko talab karen.
Hasb e Irshad Sarqaar e Do Alam Muhammad S.A.W nay apni zubaan mubarik say Naad e Ali R.A jaari farmaya. Bawajood doori masafat kay Sarqaar e Do Alam S.A.W ki awaaz mubarik Shah e Mardaan Shair Yazdaan Hazrat Ali R.A kay gosh mubarik tak pohanchi. Hazrat Ali R.A nay usi waqt farmaya Labbaik Ya Rasool Allah S.A.W aur usi waqt door daraz ka raasta teh ker kay Sarqaar e Do Alam S.A.W ki khidmat e aqdas main pohanch gaye. Sarqaar e Do Alam S.A.W ko maqtoolon main mulahza ker kay aap nay apni zulfiqar e haideri bay nayam ki aur kuffar ko tay taigh kar diya aur lashkar e Islam fatah yaab howa.
Nad e Ali (R.A) ki Fazilat:
Hazrat Muhammad SAW ko khuwab mein dekhney k liye roz soney se pehle 7 bar parhiye.
Mushkilaat aur pareshani mein ghar mein 1000 bar parhiye.
Kisi ghalat fehmi aur kisi tanaza kay hal kay liye 71 bar parhiye.
Jhotey ilzamaat se bachne aur izzat kay liye 40 bar subah kay waqt parhiye.
Neend na aane ki surat mein Jumma ki namaz se pehle 25 bar parhiye.
Khushhali kay liye rozana 21 bar parhiye.
Maal o daulat kay liye roz subah 12 bar parhiye.
Dushman pe ghalba paney kay liye 17 bar rozana parhiye.
Jaaiz khuwahishat kay liye 34 se 36 bar parhiye.
Kisi bemari se nijaat kay liye 27 bar rozana parhiy.
Ilm mein izafay kay liye Zohar kay baad 17 bar 20 din tak parhiye.
The Features Are:
Easy to use
Attractive layout
Zoom in / Zoom out
Easy install/ uninstall
Language Arabic with urdu translation
Abhi apney mobile mein Nad e Ali (R.A) App Download karein. Parhein, iss App se faaida uthaein aur Islam ka pegham zyada se zyada logoo tak puhanchein.
Please rate us and leave your some nice comments...
JAZAKALLAH!
Last updated on Nov 5, 2018
Minor bug fixes and improvements. Install or update to the newest version to check it out!
Requires Android
4.0.3 and up
Category
Report
Nad e Ali
1.0 by Islam Space
Nov 5, 2018