Ahkam e Parda

Quran o Sunnat

1.2 by Pak Appz
Nov 27, 2022 Old Versions

About Ahkam e Parda

Ahkam e Parda by Hakeem ul Ummat Maulana Ashraf Ali Thanvi aur Mufakkir e Islam.

Islam me pardey k Ahkam

Daleel aur Hikmat be-Libasi mana hai.

Aye Adam ki Aulaad! Hum ne tumahray liye libaas paida kiya hai jo tumahre qabil e parda badan ko chupata hai. Aur Taqwe ka Libas sabse badh kar hai.

[Surah Aara’f 7:26]

Aai Nabi (Sallallahu Alaihe Wasallam) apni biwiyoo, aur apni baaitiyoo ko aur mominoo ki auratoo ko ferma dain keh woh apne oper apni chadrain dal liya karain yeh qareeb ter hai keh un ki pahchan ho jai to unhain na sataya jaye aur Allah bakhshne wala nihayat maherban hai.

(SORAH AHZAB-59)

Aur jab tum un (Nabi (Sallallahu Alaihe Wasallam) ki biwiyoo) se koi cheez mango to un sai perdae kaii peechai sai mango.Yeh bat tumharai aur un ke diloo kai liye zayadah pakeezah hai.

(SORAH AHZAB-53)

Aur bemaqsad ghar se niklna mana hai- Aur gharo me qarar se raho. Aur sabiq dor jahiliyat ki saj dhaj na dikhati phiroo. [Surah Al Ahzab 33:33]

Allah farmatey hain – Musalmaan Aurto se kaho ke wo bhi apni nigaahe nichi rakhe aur apni ismath mein farq na aane de aur apni zeenath ko zaaher na kare sivaaye us ke, jo zaaher hai aur apne girebaano par apni odniyaa daale rahe aur apni araayesh ko kisi ke saamne zaaher na kare, sivaaye apne qaawind ke ya apne waalid ke ya apne qusur ke ya apne ladko ke ya apne qaawindh ke ladko ke ya apne bhaiyyo ke ya apne bhatijo ke ya apne bhaanjo ke ya apne mel jol ki aurto ke ya ghulaamo ke ya aise naukar chaakar mardo ke jo shehwat waale na ho ya aise baccho ke jo aurto ke parde ki baatho se muttale nahi, aur is tarah zor zor se pao maar kar na chale ke un ki poshida zeenath maloom ho jaaye, Ae Musalmano! tum sab ke sab Allah ki janaab mein tauba karo, ta ke tum najaat paao..

Surah Noor Ayaat 31.

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu us baligh Aurat ki Namaz qubul nahi karta jab tak wo Hijab na pahne.

Sunan Abu Dawud, Vol 1, 638-Sahih

CHAHRE KA PARDA-

Daleel No-1

“Sayyada Asma Binnat e Abu Bakar (Radi Allahu Anha) farmati hen k “Hum apne chehro ko mardo se chupaya karte they”.. (Sahi Ibn e Khuzaima-269)

Daleel No-2

“Hazrat Ayesha Radi Allahu Anha farmati hain k Safar_E_Hajj mai jab ham ahraam bandhnay ja rahe hote to jab bhi hajjaj k qafilay hamaray samnay se guzertay to ham chehray per chadar khainch liya karte the. or jab qafilay guzar jatay to phir ham chehray khol lete”.

SUNAN_IBN_MAJAH-KITAB_UL_MANASIK- BAAB_UL_MEHRMAAT-HADEES 2935.

Daleel No-3

Sahi Bukhari o Sahi Muslim Or kuch hadees ki kitabo men ye riwayat hey k jab Sayyada Ayesha (Radi Allah Anha) par tohmat lagai gai to Allah Tala ne Surah Noor men in k liye “Barraat” nazil ki ye waqeya “Ufaq” k naam se hadees ki kitabo me bohat mashhoor hai, is me hai k “Sayyada Ayesha (Radi Allah Anha) ne Jungle se wapis akar jab dekha k qafla chala gaya to woh wahi akar beth gai or so gai. Subha ko jab Hazrat Safwaan Bin Muattal Asalmi (Radi Allah Anha) ka guzar waha se howa to 1 soye howe insan ko dekh kar us taraf aaye. Sayyada Ayesha (Radi Allah Anha) farmati hen k Jab Safwaan udhar aye to unho ney mujhe dekhtey he pehchan liya. Kyunke parde k hukum se pehle woh mujhe dekh chuke they. Mujhe pehchan kar unho ney “innalillahewainnaaleherajeooon” parha to un ki awaz se meri ankh khul gai or mene apni chadar se apna chehra dhaank liya.

(SAHI BUKHARI- KITAB ALTAFSEER’475- SAHI MUSLIM KITAB ALTOBA’277).

Topics of app:

Ahkam e Parda

Ahkam e Parda Aqal o Naqal ki Roshni main

Ashraf Ali Thanvi

Best Urdu Books

Islamic books

Hakeem ul Ummat Maulana Ashraf Ali Thanvi

Hakeem ul Ummat Maulana Ashraf Ali Thanvi aur Mufakkir e Islam Maulana Abul Hasan Ali Nadvi ka Bahmi Rabt

Hakeem ul Ummat Molana Ashraf Ali Thanvi

Mufti Muhammad Zaid Mazahiri Nadvi

Urdu Islamic Book

What's New in the Latest Version 1.2

Last updated on Oct 20, 2023
Bugs Resolved

Additional APP Information

Latest Version

1.2

Uploaded by

Rowena Gernale Wael

Requires Android

Android 5.0+

Show More

Use APKPure App

Get Ahkam e Parda old version APK for Android

Download

Use APKPure App

Get Ahkam e Parda old version APK for Android

Download

Ahkam e Parda Alternative

Get more from Pak Appz

Discover